♫musicjinni

O yara dildara mera dil karta..Admi Aur Insan1969_Mahendra Kapoor _Sahir Ludhianvi_Ravi_a tribute

video thumbnail
Song : O yaara dildaara mera dil karta..
Movie : Aadmi aur Insaan(1969),
Singers: Mahendra Kapoor,S Balbir, Joginder Singh Luthra,
Lyrics: Sahir Ludhianvi,
Music Director: Ravi,
Cast : Dharmendra,Saira Banu,Feroze Khan, Mumtaz,Johnny Walker,Ajit,Ruoesh Kumar, Anwar, Iftekar, Kamini Kaushal,Nazima,
Director : Yash Chopra,

Lyrics :-
dil karta o yaara dildaara mera dil karta
o yaara dildaara mera dil karta
aisa kuch kar paayen
yaadon me bas jaayen
dil karta o yaara dildaara mera dil karta
o yaara dildaara mera dil karta
ho sadiyon jahaan me ho charcha hamaara
dil karta o yaara dildaara mera dil karta
o yaara dildaara mera dil karta

chalti mashaalen leke milani ki raaton me
milani ki raaton me
hoy hoy
aage aage ham chalen yaaron ki baaraaton me
yaaron ki baaraaton me
hoy hoy
hanse koi bholi bhaali apni bhi baaton me
apni bhi baaton me
hoy hoy
kisi ki kalaayi aaye apne bhi haathon me
apne bhi haathon me
ho sadiyon jahaan me ho charcha hamaara
dil karta o yaara dildaara mera dil karta
o yaara dildaara mera dil karta
aisa kuch kar paayen
yaadon me bas jaayen
dil karta o yaara dildaara mera dil karta
o yaara dildaara mera dil karta

ham sa jiyaala koi mile na hazaaron me
mile na hazaaron me
hoy hoy
mare chaahe jiye rahe agli kataaron me
agli kataaron me
hoy hoy
chalke hamaara lahu kal ki bahaaron me
kal ki bahaaron me
hoy hoy
ashkon ka tohfa ho ke bant jaaye yaaron me
bant jaaye yaaron me
ho sadiyon jahaan me ho charcha hamaara
dil karta o yaara dildaara mera dil karta
o yaara dildaara mera dil karta
aisa kuchh kar paayen
yaadon me bas jaayen
dil karta o yaara dildaara mera dil karta
o yaara dildaara mera dil karta
o yaara dildaara mera dil karta..)×6

In memory of Mahendra Kapoor : Mera Pyar Wo Hai Ke Mar Kar Bhi...Oct ; 2008

Mahendra Kapoor pichhale hafte is duniya se rukhasat kar gaye. Abhi kuchh din pahale hi Maharashtra sarakar ne unhein is saal ka lata mangeshkar puraskar dene ki ghoshna ki thi. parshv gayan to unhonne chhod hi rakha tha par sattar se oopar hone ke bavajood abhi bhi vo sangeetik gatividhiyon se alag nahin huye the. bharat ke bahar unake concert har sal huaa karate the aur abhi haal mein ye bhi pada tha ki gayan ki sabhi vidhaon mein apani pratibha dikhane ke bad vo ek soofi album ki taiyari mein jute the.

Mahendra Kapoor ke mashahoor geeton se ham sab vakif hain. Manoj Kumar aur B.R.Chopda ke banner tale bani filmon ke adhikatar geet unhonne hi gaye. deshabhakti geeton ka khayal aate hi aaj bhi janata ko pahale unhin ka chehara zehan mein aata hai par mainne to any koti ke geeton mein bhi kapoor sahab ki gayiki ko behatarin paya hai. aaj main jo geet aapake samane pesh kar raha hoon vo mujhe behad pasand raha hai. jab bhi ise gunagunata hoon, man poori tarah isake bhavon mein doob jata hai.


S H Bihari ke is is geet ko mahendra ji ne is bhav pravanata se gaya hai ki ye geet aapake mood ko sanjida karane ki takat rakhata hai... to aaiye sunen ye geet

mahendra kapoor ne us kal khand mein apani upasthiti darj karaee jab rafi, kishor aur mukesh jaise mahan gayak apani choti par the. ye bhi ek karan raha ki jis shoharat aur samman ke vo hakadar the vo poori tarah unhen nahin mil paya. is bat ka mugalata kapoor sahab ko bhi raha. ek patrika ko diye apane sakshatkar mein ek bar unhonne badi vinamrata se poochha tha
"...mere bare mein itna kam likha jata hai. mujhe samajh nahi aata kyoon? kya maine koi ghalti ki hai?.." Mahendra Kapoor Rip🌹🙏

Storyline....
A wealthy and independent industrialist, Jai Kishan befriends a young man from a middle-class background by the name of Munish Mehra (Dharmendra), assists him financially to go abroad and get necessary qualifications as an engineer, and then hires him on one of his construction projects. Meena Khanna (Saira Banu) is the daughter of a government official. Munish and Meena meet and fall in love with each other. Jai also gets attracted towards Meena. Shortly after this, Jai finds out that Munish is in love with Meena, and gets enraged. He subsequently fires Munish, and ensures that he will not get hired anywhere else. After several vain attempts to obtain employment, Munish gets hired by the government, and is assigned to investigate the collapse of a railway bridge. Munish finds out that Jai was directly responsible for this mishap as he used sub-standard materials. Munish now has the tools to take revenge from Jai and destroy him, and accordingly informs his employer. But when the time comes for Munish to make a full report, he declines, and the government has no alternative but to prosecute him in a court of law for taking bribes and destroying his report. And the main witness appearing against him is none other than Jai..

O yara dildara mera dil karta..Admi Aur Insan1969_Mahendra Kapoor _Sahir Ludhianvi_Ravi_a tribute

O yara dildara mera dil karta*Aadmi Aur Insaan*8 August 1969*Mahendra Kapoor

O yara dildara mera dil karta*Aadmi Aur Insaan*8 August 1969*Mahendra Kapoor

Disclaimer DMCA