♫musicjinni

Dua e Qunoot - Shaikh Imran Ahmed Salafi - #Ramazan #Roze #Quran - Darul Huda

video thumbnail
(230) Dua e Qunoot
Speaker : Shaikh Imran Ahmed Taifi
Series by : Darul Huda Udupi Productions

web : http:://darulhudaudupi.org
FB: http://facebook.com/darulhudaudupi
whatsapp: +91 73378 14400 || +91 89044 81890 || +966 5074 72706
#DarulHuda #Ramazan #DuaQunoot #Quran #Ramzan #Ramadan #Fasting #Sehri #Iftar #Etekaaf #Taraweeh #Qayamullayl #Namaz #Eid
==================================
Ramzan ki Fazilat
Ramzan ki Ahmiyat kya hai ?

Sabse pehli baat ke “Kisi cheez ki agar hume Ahmiyat na maloom ho tou fir uska fayda bhi hum nahi utha patey hai.” aur dusri baat ke “kisi cheez ke agar Masail maloom na ho tou uska sahi istemaal bhi hum nahi kar patey hai.”

Usi tarha agar hum “Ramzan” ke Fazail nahi jaan sakenge tou uski Ahmiyat nahi jaan sakenge aur uske Masail nahi janenge tou uska sahih fayda bhu hum nahi utha payenge.

Tou wo Mahina jo Humpar aanewala hai uski kya Ahmiyat hai, uske kya fazail hai In sha Allah is unwan me hum aapki khidmat me mukhtasar sa rakhne ki koshish karenge.

Aayiye Nabi-e-Kareem (ﷺ) aur Sahaba ke liye Ramzan kaise hua karte they wo jaan letey hai, wohi asal mayar(criteria) hai humare liye.
✲ Nabi-e-Kareem (ﷺ) aur Sahaba ke liye Ramzan ki Ahmiyat kya thi ?

Aahadees me aata hai ke “Jo hi Ramzan ka Mahina qareeb aata tou Aap (Sallallahu Alaihay Wasallam) kamarbasta ho jatey” [Sahih Bukhari , Vol 3, 2024]

Yaani tayyar ho jatey, Sadqe aur khairaat ke liye, Rozo ke liye, Qiamullail ke liye, Zikr-O-Azkar ke liye, Tilawatey Quraan me Ijaafe ke liye tayyar ho jatey.

Har kism ki Ibadati tayyari Aap (ﷺ) ki aur Sahaba ki hoti thi. Jab Ramzan aa raha hai tou unki Zehno me ibadatey ghum rahi hai ke kaise Mere Roze mukammil ho khusu aur khuju ke saath, koi kami na aaye mere Rozon me.

Isi tayyariyo me Sahaba lag gaye, Nabi-e-Karam (ﷺ) lag gaye, Ummaha-Tul-Mominin lag gaye, Sahabiyat lag gayi. pura mu’ashra isi tayyari me laga ke Ramzan me kaisi ibadate ho, kaise mai jyada se jyada ibadatey karu. Ye thi unki tayyari.

Kitna fark hai humari aur unki tayyariyo me ?

Humari tayyario me siway Duniya ke aur kuch bhi nahi aur unki tayyariyo me siway Aakhirat ke aur kuch bhi nahi.

Tou ye ek mousam aa raha hai hum par, ek behtareen mouka hume mil raha hai, ek jabardast mahina aa raha Hai.

Lekin ye bohot hi afsos ki baat hai ke is mahine ki aamad par siwaye duniya ke humare zehno me kuch bhi nahi aata.

Aisa kyu hua ? kyu humne Ramzan ki asal ahmiyat nahi jaani ?

Isiliye kyunki humne Ramzan ka asal maksad, iski ahmiyat , iski fazilat aur masail ki hakikat ko jan’na jaruri na samjha! jiski wajah se haq dhire dhire humari zindagiyo se faramosh hota gaya sur jahalat hum par aati rahi.
• Roze ka Asal Maksad kya hai ?

Allah Rabbul Izzat Qurane Kareem me farmata hai:
“Aye Emaan walo tum par Roze farz kiye gaye, jaise tumse pichli Ummato par humne farz kiye they ta’ake kahi tum Taqwa(Parhezgaari) ikhtiyar karo.” [Surah Baqrah 2:183]

Tou Taqwa Roze ka maksad hai, Taqwa Ramzan ka asal maksad hai, Taqwa Roze ka paigaam hai, Taqwa Ramzan ka paigaam hai.

Aur Allah Rabbul Izzat ne baar-baar is paigaam ko dohraya aur kaha: “Aye wo logo jo imaan laye ho Taqwa (Parhezgaari) ikhiyar karo” aur ye aayat Quraan me baar–baar repeat hui hai.

Tou gour karne wali baat hai ke Taqwa yaani Allah ka darr jo ki bohot hi Ahmiyat waali baat hai jiska paigam hume diya gaya.

Isiliye Kyunki: Allah ka darr jab insan me aa jata hai tou Insan Haram aur Halal ki tameez karne lagta hai, Deeno Shariyat aur Duniyawi fizul kaamo me fark karne lagta hai, Duniya par Aakhirat ko tarzi deney lagta hai, dhokeybazi, jhooth, Zina, Sharab, juwa aur tamam buri khaslato se ahtiyat karta hai.

Tou In sha Allah-Ul-Azeez! is Unwan me hum Ramzan ki Ahmiyat aur Fazilat ke taaluk se mukhtasar sa bayan karne ki koshish karenge. Baraye meharbani isey jyada se jyada share karne me humara tawoon farmaye.
==================================

*INTRODUCTION OF DAR -UL -HUDA UDUPI*

Haamidan Wa Musalliyan!

DAR-UL-HUDA Guidance Centre is a cultural, social and educational institution. It also works for strengthening inter-faith brotherhood & humanity.

DAR-UL-HUDA also works to correct the Aqeedah of Muslims.

A Few CORE Objectives of DAR-UL-HUDA are, to:

- Spread the message of Kitab & Sunnah
- Teach Arabic, Hifz (Qur’an Memorisation)
- Hold ONLINE Quiz Competitions
- Clarify misconceptions about Islam and to spread peace
- Collaborate with other Islamic Organisations
- Hold Educational & Tarbiya programmes for Imams, Khateebs and Da’ees
- Translate and Distribute Islamic Works in local languages
- Distribute the Qur’an

DAR-UL-HUDA has:

- Free Ambulance Service For All
- Prayer Hall, and Library
- Exhibition Hall called The Prophet of Mercy - to introduce to the world his glorious teachings
- Annual Summer Course (Girls)

DAR-UL-HUDA plans to Start a:

- Studio
- Clothes Bank
- Bore-well Project
- Satellite Channel, and much more

Please donate generously.

Mashkook din ka roza - Shaikh Imran Ahmed Salafi - #Ramazan #Roze #Quran - Darul Huda

Jaan bojh kar roza chodna... - Shaikh Imran Ahmed Salafi - #Ramazan #Roze #Quran - Darul Huda

Roze me fuzool kaam - Shaikh Imran Ahmed Salafi - #Ramazan #Roze #Quran - Darul Huda

Namaz Ke Kuch Important Masail | Namaz ka Tariqa | Namaz Kay Masail Ka Hal By Maulana Ilyas Qadri

Kya Qai ki waje se roza tootta hai? - Shaikh Imran Ahmed Salafi - #Ramazan #Roze #Quran - Darul Huda

Zehni Kamzori - Yaddasht Ki Kami Hamesha Ke Liye Khatam || Dr. Fahad Artani Roshniwala

Roze ki fazilat - Shaikh Imran Ahmed Salafi - #Ramazan #Roze #Quran - Darul Huda

Wisaal ka Roza kya hai? - Shaikh Imran Ahmed Salafi - #Ramazan #Roze #Quran - Darul Huda

Ramzan Ke Roze Na Rakhne Ka Gunah | Farz Roza Chornay Ki Saza | Ramadan Special | Abdul Habib Attari

Roza rakhne ki taqat na ho tu... - Shaikh Imran Ahmed Salafi - #Ramazan #Roze #Quran - Darul Huda

Nafil roze keliye shohar ki ijazat - Shaikh Imran Ahmed Salafi - #Ramazan #Roze #Quran - Darul Huda

Rozedar ke Gunah - Shaikh Imran Ahmed Salafi - #Ramazan #Roze #Quran - Darul Huda

Roze me jhoot - Shaikh Imran Ahmed Salafi - #Ramazan #Roze #Quran - Darul Huda

Eid ke din roza rakhna - Shaikh Imran Ahmed Salafi - #Ramazan #Roze #Quran - Darul Huda

Kin dino me roza rakhna jaiz nahi? - Shaikh Imran Ahmed Salafi - #Ramazan #Roze #Quran - Darul Huda

Etekaaf ke maana kya hain? - Shaikh Imran Ahmed Salafi - #Ramazan #Roze #Quran - Darul Huda

Arfah ke roze ki fazilat - Shaikh Imran Ahmed Salafi - #Ramazan #Roze #Quran - Darul Huda

Haiz ki waje chote howe roze aur namazen - Shaikh Imran Ahmed Salafi - #Ramazan #Roze - Darul Huda

Quran aur Ramazan - Shaikh Imran Ahmed Salafi - #Ramazan #Roze #Quran - Darul Huda

Jo Log Namaz Ke Bad Sar Par Hath Rakhte Hai Sunle | Mufti Tariq Masood | Islamic Group

Roze ki halat me naak me pani dalna - Shaikh Imran Ahmed Salafi - #Ramazan #Roze #Quran - Darul Huda

Etekaaf ki niyat - Shaikh Imran Ahmed Salafi - #Ramazan #Roze #Quran - Darul Huda

Roze ki Niyat - Shaikh Imran Ahmed Salafi - #Ramazan - Darul Huda

Ramazan ki fazilat - Shaikh Imran Ahmed Salafi - #Ramazan #Roze #Quran - Darul Huda

Roze me hijama karana - Shaikh Imran Ahmed Salafi - #Ramazan #Roze - Darul Huda

Khawateen Etekaaf kahan karen? - Shaikh Imran Ahmed Salafi - #Ramazan #Roze #Quran - Darul Huda

Shaban ke roze - Shaikh Imran Ahmed Salafi - #Ramazan #Roze #Quran - Darul Huda

Muharram ke rozon ka sawab kya hai? - Shaikh Imran Ahmed Salafi - #Ramazan #Roze #Quran - Darul Huda

Islam se pehle roze - Shaikh Imran Ahmed Salafi - #Ramazan #Roze #Quran - Darul Huda

Nazr ka roza eid ke din - Shaikh Imran Ahmed Salafi - #Ramazan #Roze #Quran - Darul Huda

Disclaimer DMCA